Darwin ka siddhant jitna mahatvapurna raha, utna hee vivadit bhi. Jise manana aur khariz karna, donon hee mushkil raha. Is siddhant kee yatra hamen aisee drishti detee hain, jo har manushya mein chhupi ho saktee hai. Ek jahaaz yatra ne kaise ek padri banane jaa rahe vyakti ko badal kar rakh diya? Prithvi ke asankhya jeev jantuon ko dekhne ka nazariya badal diya. Jis vyakti ne svayam vigyaan kee shiksha pooree nahin kee, uska siddhant vigyaan kee pustakon mein ankit ho gaya. Yah lalit nibandh shailee ka upanyaas inhin binduon ko samajhne ka ek prayaas hai.