Prastaavna Manav jeevan ki sabse badi vidambana yeh hai ki woh baahry jagat ko jaane mein jitni ruchi rakhta hai, aatma-chetna ko utni hi upeshit kar deta hai. Hum apne bhitar ke jhingur ko pehchaanne mein asamarth rahte hain—wahi jhingur jo humari chetna ko sankirnataon mein jakadkar humein kuntit, bhay-grast aur jad bana deta hai. Prastut kruti "Jhingur" is antarnihit mansikta ka ek sahityik vishleshan hai, jismein lekhak ne samaj ki ruddhiyon, dharmik aadambaroon aur paramparayon ke naam par poshit kuprathaon ko atyant paini drishti se ukhera hai. Yeh kruti keval samaj ki visangatiyon ki alochana bhar nahi hai, balki ek vaicharik yatra bhi hai—dharmik aastha se lekar samajik vidroopataon tak, aatma-khoj se lekar samajik vidroh tak. Lekhak swayam Rajasthan ke us tapte marusthal se aate hain, jahan suvidhaon ka abhaav aur paramparagat ruddhiyon ka aadhipaty vyapt hai. Unhone jeevan ko keval dekha nahi, balki aatmsaat kiya hai; samaj ko keval samjha nahi, uski visangatiyon ko apne marm se anubhoot kiya hai. "Jhingur" keval ek pustak nahi, balki ek vaicharik pravah hai. Yeh un sadandh maarti paramparayon par prahaar karti hai jo manushya ki chetna ko seemit kar deti hain. Yeh un dharmik yatraon ka lekha-jokha bhi hai, jahan lekhak ne keval teerth nahi kiye, balki un teerthon ke bhitar gehre dhanse samajik paakhandon ko bhi ujagar kiya. Yeh kruti un kuritiyon ki padhataal karti hai, jo dharmikta ke aavaran mein sadiyon se phalti-phoolti aayi hain. Pustak ka kendriya patra "Jhingur" manav-man ke bhitar maujood un vicharon, dhaarnaon aur samajik prabhavon ka pratinidhitva k... See more
Prastaavna Manav jeevan ki sabse badi vidambana yeh hai ki woh baahry jagat ko jaane mein jitni ruchi rakhta hai, aatma-chetna ko utni hi upeshit kar deta hai. Hum apne bhitar ke jhingur ko pehchaanne mein asamarth rahte hain—wahi jhingur jo humari chetna ko sankirnataon mein jakadkar humein kuntit, bhay-grast aur jad bana deta hai. Prastut kruti "Jhingur" is antarnihit mansikta ka ek sahityik vishleshan hai, jismein lekhak ne samaj ki ruddhiyon, dharmik aadambaroon aur paramparayon ke naam par poshit kuprathaon ko atyant paini drishti se ukhera hai. Yeh kruti keval samaj ki visangatiyon ki alochana bhar nahi hai, balki ek vaicharik yatra bhi hai—dharmik aastha se lekar samajik vidroopataon tak, aatma-khoj se lekar samajik vidroh tak. Lekhak swayam Rajasthan ke us tapte marusthal se aate hain, jahan suvidhaon ka abhaav aur paramparagat ruddhiyon ka aadhipaty vyapt hai. Unhone jeevan ko keval dekha nahi, balki aatmsaat kiya hai; samaj ko keval samjha nahi, uski visangatiyon ko apne marm se anubhoot kiya hai. "Jhingur" keval ek pustak nahi, balki ek vaicharik pravah hai. Yeh un sadandh maarti paramparayon par prahaar karti hai jo manushya ki chetna ko seemit kar deti hain. Yeh un dharmik yatraon ka lekha-jokha bhi hai, jahan lekhak ne keval teerth nahi kiye, balki un teerthon ke bhitar gehre dhanse samajik paakhandon ko bhi ujagar kiya. Yeh kruti un kuritiyon ki padhataal karti hai, jo dharmikta ke aavaran mein sadiyon se phalti-phoolti aayi hain. Pustak ka kendriya patra "Jhingur" manav-man ke bhitar maujood un vicharon, dhaarnaon aur samajik prabhavon ka pratinidhitva karta hai, jo uski chetna ko kuntit kar dete hain. Yeh jhingur kahin bhay ke roop mein hai, kahin andhvishwas ke roop mein, kahin jaatwad mein to kahin dharmik aadambaroon mein. Lekhak ne is pratik ke madhyam se yeh siddh karne ka prayas kiya hai ki jab tak manushya apne bhitar ke jhingur ko nahi pehchanta aur usse nishkasit nahi karta, tab tak woh na poorn roop se dharmik ho sakta hai, na swatantra. "Jhingur" mein darshan, yatharth aur sahityik chetna ka samanvay hai. Ismein shabd keval bhasha ka madhyam nahi hain, balki woh samaj ke bhitar chhype asal sawalon ko uthane ka ek auzaar hain. Yeh kruti na keval padhne, balki aatmchintan aur aatmanthan karne ki maang karti hai. Yadi yeh pustak pathakon ko unke bhitar ke jhingur se parichit kara sake aur unhe us jhingurpann se mukt hone ki disha mein prerit kar sake, to ise apni safalta ka paryay manunga." About the Author"Lekhak Parichay Shreeram, Rajasthan ke tapte registani bhoomi se nikle ek advitiya aur sanvedansheel vyakti hain. Unhone apne sahityik aur darshanik drishtikon se na keval dharmikta, aadhyatmikta aur maanviya mulyon ke prati gehri aastha bhi vyakt ki hai. Unka janm us bhoomi par hua, jahan prakritik sansadhan ka abhaav aur samajik kuritiyon ka prachur pradurbhav raha hai. Unka jeevan yatraon aur anubhavon ka sangam hai. Ve dharmik yatraon ke madhyam se desh ke vibhinn hisson ko na keval dekh chuke hain, balki un sthalon ki sanskriti, sabhyata aur aadhyatm ko aatmsaat bhi kar chuke hain. Unke lekh mein dharmikta aur maanviata ka gehra mishran dekhne ko milta hai, jo pathakon ko bhitar tak jhakjhor deta hai. Unki rachnaayein keval aadhyatmik anubhavon tak seemit nahi hain, balki ve samaj mein vyapt kuritiyon aur andhvishwason ka mukharr virodh bhi karti hain. Rajasthan ki kathor jalvaayu aur samajik bandhanon ke beech pale-badhne wale Shreeram ne swayam in kuprathaon ka danst jhela aur apni lekhni ke madhyam se in par karaara prahaar kiya. Bal vivaah, jaatigat bhedbhaav aur striyon ke prati asamaan vyavhaar jaise prathayon ko unke lekh mein vishesh roop se nishane par liya gaya hai. Aapne apni shaikshanik uplabdhiyon mein yog vidya ke saath-saath French bhaasha aur antarraashtreey sambandhon ka adhyayan bhi kiya hai. Aapne gat varsho mein apni yatra mein Bharatvarsh ke vibhinn 12 jyotirlingon mein se 9 jyotirlingon ki pad yatra poorn ki hai."