Vishv ke anaginat sanatan dharmi, sadhu, sant, bhakt aur vishva ke sabhi sadharan manavon ko main pandit kashinath mishra sadhuvad gyapan karta hoon.
Bhagavan jagannath ji ki kripa se udisa men janme punch sakha; mahapurush achyutanand das, mahapurush balaram das, mahapurush jasavant das, mahapurush shishu ananta das aur mahapurush jagannath daas ko chhodakar udisa men aur bhi sant mahapurush thakur abhiram paramahansa, chhatiya butt ke mahant mahapurush hadidas maharaj, avdhoot dharm ke sant shree bhimbhoi, bhagavan shri jagannath ji ke muslim bhakt salbeg, art das aise or bhi alag alag mahapurushon ne bhavishya k baare mein rachanaen ki hain.
Par sabhi vicharadhara men sabse mukhya punch sakha hain, jo nitya baikunth se bhagavan ke ang se ansh avatar thei
Baikunth ke nitya punch sakha bhagavan nirakar ke nirdesh par udisa ki pavitra dharti par janm huye thei
Panch sakhaon ne praman kiye hain, jo yah sanatan dharm ka pavitr tatva hai, ise hum manav sabhyata ke kalyan ke liye rachna kar rahe hain yah sabhi rachanaen hamen nirakar bhagavan se praapt hui hain.