Quran vaastav mein wah antim Ishwariya granth hai jise Allaah ne maanav jaati ke liye maarg-darshan ke liye avtarit kiya hai. Quran Ish-waani hai, yah kisi manushya ki rachna ya kisi kavi ka kaavya kadapi nahi hai. Quran ke Ish-waani hone ke kaaran usmein anupam swar-saundarya hi nahi bhav-saundarya ka bhi samaavesh ho gaya hai. Gyaan aur Satya ki jo gehraaiyan Quran mein paayee jaati hain ve swabhaavik hi hain. Quran manushya ke maarg-darshan ke liye utra hai, wah bataata hai ki Allaah ne manushya ko shresht-ta pradaan ki hai. Jagat ki sabhi cheezein maanav ki seva mein rat hai. Surya ho ya Chandrama ya Pruthvi sabhi manushya ke liye kaaryarat hain. Quran se maloom hota hai ki manushya ki badaai aur shresht-ta ka rahasya yah hai ki Allaah ne use vishesh roop mein apni seva ke liye paida kiya hai. Usne manushya ko is liye paida kiya hai ki wah Allaah ko pehchaane aur apne jeewan ke sampoorn saundarya ko (jiski abhivyakti uske aachaar aur vyahvaar se hoti hai) Use arpit kar de. Uske samast kaarya Ishwar ki prasannata ke liye aur Uske bataaye huve tareeqe se sampann ho. Wah apne aur Ishwar ke madhya samarsta aur anukoolta banaaye rakhe. Allaah ki prasannata ke vipreet uska ka koi kaarya na ho.(ISBN 9781510421349).